zindagi dard ke siwa kya hai
zindagī dard ke sivā kyā hai
jī mire yaar sochtā kyā hai
hosh kī intihā to hai vahshat
aur vahshat kī intihā kyā hai
rakh mirī pyaas par nazar saaqī
tū mirā zarf dekhtā kyā hai
maiñ sitam ko ḳhulūs kahtā huuñ
ye ġhalat hai to phir bajā kyā hai
apnī koī ḳhatā nahīñ 'ishrat'
aur is se baḌī ḳhatā kyā hai
zindagi dard ke siwa kya hai
ji mere yar sochta kya hai
hosh ki intiha to hai wahshat
aur wahshat ki intiha kya hai
rakh meri pyas par nazar saqi
tu mera zarf dekhta kya hai
main sitam ko KHulus kahta hun
ye ghalat hai to phir baja kya hai
apni koi KHata nahin 'ishrat'
aur is se baDi KHata kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.