zindagi dard se mamur hui jati hai
zindagī dard se māmūr huī jaatī hai
sarḳhushī duur bahut duur huī jaatī hai
din ko pal bhar meñ mayassar nahīñ sukh chain mujhe
raat kī niiñd bhī kāfūr huī jaatī hai
zindagī shām-o-sahar Thokareñ khāte khāte
zahr-e-ġham piine pe majbūr huī jaatī hai
ġham-o-ālām kī zulmat hai kuchh is tarah muhīt
zindagī ik shab-e-dījūr huī jaatī hai
apne ahbāb bhī ab milte haiñ begāna-sifat
be-ruḳhī dahr kā dastūr huī jaatī hai
mujh ko duniyā ke ravayye pe ta.ajjub hai bahut
dil mirā toḌ ke maġhrūr huī jaatī hai
kis ke TuuTe hue dil kī ye sadā hai yaaro
anjuman be-ḳhūd-o-masrūr huī jaatī hai
soz-e-pinhāñ kī jhalak hai tire sheroñ meñ 'bahār'
ḳhush-navā.ī tirī mash.hūr huī jaatī hai
zindagi dard se mamur hui jati hai
sarKHushi dur bahut dur hui jati hai
din ko pal bhar mein mayassar nahin sukh chain mujhe
raat ki nind bhi kafur hui jati hai
zindagi sham-o-sahar Thokaren khate khate
zahr-e-gham pine pe majbur hui jati hai
gham-o-alam ki zulmat hai kuchh is tarah muhit
zindagi ek shab-e-dijur hui jati hai
apne ahbab bhi ab milte hain begana-sifat
be-ruKHi dahr ka dastur hui jati hai
mujh ko duniya ke rawayye pe tajjub hai bahut
dil mera toD ke maghrur hui jati hai
kis ke TuTe hue dil ki ye sada hai yaro
anjuman be-KHud-o-masrur hui jati hai
soz-e-pinhan ki jhalak hai tere sheron mein 'bahaar'
KHush-nawai teri mashhur hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.