zindagi dasht mein jab chhoD ke aati hai hamein
zindagī dasht meñ jab chhoḌ ke aatī hai hameñ
terī yādoñ kī mahak DhūñDh ke laatī hai hameñ
rakh de āñkhoñ pe merī ġhaflatoñ vaalā chashma
is se duniyā baḌī behtar nazar aatī hai hameñ
ek hī taal meñ har nabz kā chalte rahnā
tum na samjhoge ye tartīb Darātī hai hameñ
dard-e-tanhā.ī taḌap soz ḳhalā bechainī
lafz kyā kyā ye mohabbat bhī sikhātī hai hameñ
jitnī mushkil se nibhāte haiñ mohabbat ham tum
utnī mushkil se mohabbat bhī nibhātī hai hameñ
zindagi dasht mein jab chhoD ke aati hai hamein
teri yaadon ki mahak DhunDh ke lati hai hamein
rakh de aankhon pe meri ghaflaton wala chashma
is se duniya baDi behtar nazar aati hai hamein
ek hi tal mein har nabz ka chalte rahna
tum na samjhoge ye tartib Daraati hai hamein
dard-e-tanhai taDap soz KHala bechaini
lafz kya kya ye mohabbat bhi sikhati hai hamein
jitni mushkil se nibhate hain mohabbat hum tum
utni mushkil se mohabbat bhi nibhati hai hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.