zindagi dushwar thi dushwar hai
zindagī dushvār thī dushvār hai
kitnī yaksāñ vaqt kī raftār hai
aa.ina ḳhud ā.ina-bardār hai
ye hamārā chehra-e-kirdār hai
zindagī āzār hī āzār hai
phir bhī ham ko zindagī se pyaar hai
vaqt kā ruḳh moḌ saktā hai vahī
vaqt se jo barsar-e-paikār hai
jaane kitne jhele baiThā hai azaab
ye shajar jo aaj sāya-dār hai
gulsitāñ meñ kyā nasheman kā shumār
jab ki gul hī shāḳh-e-gul par baar hai
kab talak pās-e-zabāñ-bandī 'majīd'
zindagī lab-tishna-e-guftār hai
zindagi dushwar thi dushwar hai
kitni yaksan waqt ki raftar hai
aaina KHud aaina-bardar hai
ye hamara chehra-e-kirdar hai
zindagi aazar hi aazar hai
phir bhi hum ko zindagi se pyar hai
waqt ka ruKH moD sakta hai wahi
waqt se jo barsar-e-paikar hai
jaane kitne jhele baiTha hai azab
ye shajar jo aaj saya-dar hai
gulsitan mein kya nasheman ka shumar
jab ki gul hi shaKH-e-gul par bar hai
kab talak pas-e-zaban-bandi 'majid'
zindagi lab-tishna-e-guftar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.