zindagi ek saza ho jaise
zindagī ek sazā ho jaise
kisī gumbad kī sadā ho jaise
raat ke pichhle pahar dhyān tirā
koī saa.e meñ khaḌā ho jaise
aam ke peḌ pe koyal kī sadā
terā uslūb-e-vafā ho jaise
yuuñ bhaḌak uTThe haiñ sho.ale dil ke
apne dāman kī havā ho jaise
rah ga.e hoñT laraz kar apne
terī har baat bajā ho jaise
duur taktā rahā manzil kī taraf
rah-rav-e-ābla-pā ho jaise
yuuñ milā aaj vo 'rāhat' ham se
ek muddat se ḳhafā ho jaise
zindagi ek saza ho jaise
kisi gumbad ki sada ho jaise
raat ke pichhle pahar dhyan tera
koi sae mein khaDa ho jaise
aam ke peD pe koyal ki sada
tera uslub-e-wafa ho jaise
yun bhaDak uTThe hain shoale dil ke
apne daman ki hawa ho jaise
rah gae honT laraz kar apne
teri har baat baja ho jaise
dur takta raha manzil ki taraf
rah-raw-e-abla-pa ho jaise
yun mila aaj wo 'rahat' hum se
ek muddat se KHafa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.