zindagi ek tilismat ka aaina hai
zindagī ek tilismāt kā ā.īna hai
din jise kahte haiñ vo raat kā ā.īna hai
jo bhī kahnā ho tujhe merī taraf dekh ke kah
merā chehra tire jazbāt kā ā.īna hai
shaḳhsiyat meñ tirī utnī hī chamak bhī hogī
jitnā raushan tirī ḳhidmāt kā ā.īna hai
ahd-e-nau lafzoñ ke mafhūm se vāqif hī nahīñ
kitnā be-aks ḳhayālāt kā ā.īna hai
ab buzurgoñ kī virāsat bhī nahīñ hai mahfūz
dhuñdhlā dhuñdlā sā rivāyāt kā ā.īna hai
tere ruḳhsār kā ġhāza haiñ badalte mausam
zulf-e-barham tirī barsāt kā ā.īna hai
zindagi ek tilismat ka aaina hai
din jise kahte hain wo raat ka aaina hai
jo bhi kahna ho tujhe meri taraf dekh ke kah
mera chehra tere jazbaat ka aaina hai
shaKHsiyat mein teri utni hi chamak bhi hogi
jitna raushan teri KHidmat ka aaina hai
ahd-e-nau lafzon ke mafhum se waqif hi nahin
kitna be-aks KHayalat ka aaina hai
ab buzurgon ki wirasat bhi nahin hai mahfuz
dhundhla dhundla sa riwayat ka aaina hai
tere ruKHsar ka ghaza hain badalte mausam
zulf-e-barham teri barsat ka aaina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.