zindagi ghamgin hoti ja rahi hai
zindagī ġhamgīn hotī jā rahī hai
aarzū rañgīn hotī jā rahī hai
chāñd taare āsmānoñ meñ Tañge haiñ
raat kī taz.īn hotī jā rahī hai
zulm phir parvān chaḌhtā jā rahā hai
zabt kī tauhīn hotī jā rahī hai
samt-e-mashriq dekhtā huuñ maiñ ujālā
raat kī takfīn hotī jā rahī hai
shādmāñ sā hai 'nizāmī' āj-kal vo
ruuh kī taskīn hotī jā rahī hai
zindagi ghamgin hoti ja rahi hai
aarzu rangin hoti ja rahi hai
chand tare aasmanon mein Tange hain
raat ki tazin hoti ja rahi hai
zulm phir parwan chaDhta ja raha hai
zabt ki tauhin hoti ja rahi hai
samt-e-mashriq dekhta hun main ujala
raat ki takfin hoti ja rahi hai
shadman sa hai 'nizami' aaj-kal wo
ruh ki taskin hoti ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.