zindagi gar nahin milti hai qaza chahenge
zindagī gar nahīñ miltī hai qazā chāheñge
tū kisī tarah na ho ham se ḳhafā chāheñge
bad-gumānī meñ abas rishta-e-jāñ TuuT gayā
tū ne pūchhā hī nahīñ ham se ki kyā chāheñge
ḳhuun meñ mere tire lams kī ḳhushbū hai bahut
log sab mere hī zaḳhmoñ kā mazā chāheñge
be-ḳhatā ham haiñ salīboñ ko uThā.e lekin
terī marzī se milegī jo sazā chāheñge
ek kashkol ko laḌte haiñ gadāgar saare
koī kyā degā hameñ shahr se kyā chāheñge
zindagi gar nahin milti hai qaza chahenge
tu kisi tarah na ho hum se KHafa chahenge
bad-gumani mein abas rishta-e-jaan TuT gaya
tu ne puchha hi nahin hum se ki kya chahenge
KHun mein mere tere lams ki KHushbu hai bahut
log sab mere hi zaKHmon ka maza chahenge
be-KHata hum hain salibon ko uThae lekin
teri marzi se milegi jo saza chahenge
ek kashkol ko laDte hain gadagar sare
koi kya dega hamein shahr se kya chahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.