zindagi guzri hai tanha umr-bhar
zindagī guzrī hai tanhā umr-bhar
maiñ rahā mar mar ke zinda umr-bhar
vo kisī kī ho ga.ī manzil to kyā
us kā dekhā maiñ ne rastā umr-bhar
ishq dhokā hai sarāsar bā-ḳhudā
maiñ ne khāyā hai ye dhokā umr-bhar
bhuul hī baiThe ham apne aap ko
bas use hī ham ne sochā umr-bhar
yaad bhī kartā nahīñ huuñ maiñ jinheñ
karte aa.e merā charchā umr-bhar
kah na paa.e baat dil kī aaj tak
mil nahīñ paayā vo tanhā umr-bhar
vo karam kar de to hai us kī razā
kar na paa.e ek sajda umr-bhar
ik sifar hī rah gayā huuñ ab to bas
sab pe maiñ ne ḳhud ko ḳharchā umr-bhar
tere mere meñ hī phañs kar rah ga.e
ho na paayā koī apnā umr-bhar
zindagi guzri hai tanha umr-bhar
main raha mar mar ke zinda umr-bhar
wo kisi ki ho gai manzil to kya
us ka dekha main ne rasta umr-bhar
ishq dhoka hai sarasar ba-KHuda
main ne khaya hai ye dhoka umr-bhar
bhul hi baiThe hum apne aap ko
bas use hi hum ne socha umr-bhar
yaad bhi karta nahin hun main jinhen
karte aae mera charcha umr-bhar
kah na pae baat dil ki aaj tak
mil nahin paya wo tanha umr-bhar
wo karam kar de to hai us ki raza
kar na pae ek sajda umr-bhar
ek sifar hi rah gaya hun ab to bas
sab pe main ne KHud ko KHarcha umr-bhar
tere mere mein hi phans kar rah gae
ho na paya koi apna umr-bhar
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 131)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.