zindagi hath mal rahi hai kya
zindagī haath mal rahī hai kyā
apnā chehra badal rahī hai kyā
ab havā siskiyāñ sī letī hai
vo bhī kāñToñ pe chal rahī hai kyā
hijr ke sab azaab jaag uThe
shab-e-mahtāb Dhal rahī hai kyā
phir se sāhil kā khil uThā chehra
mauj-e-tūfān Tal rahī hai kyā
ab ḳhizāñ ke mizāj biphre haiñ
vo guloñ ko masal rahī hai kyā
phir tamannā ne bāl-o-par DhūñDe
gir ke vo bhī sañbhal rahī hai kyā
maañg phir bhar ga.ī ujāloñ kī
koī sham.a sī jal rahī hai kyā
dhaḌkanoñ kā mizāj barham hai
aarzū phir machal rahī hai kyā
'nūr' ehsās ke talātum meñ
koī hasrat nikal rahī hai kyā
zindagi hath mal rahi hai kya
apna chehra badal rahi hai kya
ab hawa siskiyan si leti hai
wo bhi kanTon pe chal rahi hai kya
hijr ke sab azab jag uThe
shab-e-mahtab Dhal rahi hai kya
phir se sahil ka khil uTha chehra
mauj-e-tufan Tal rahi hai kya
ab KHizan ke mizaj biphre hain
wo gulon ko masal rahi hai kya
phir tamanna ne baal-o-par DhunDe
gir ke wo bhi sanbhal rahi hai kya
mang phir bhar gai ujalon ki
koi shama si jal rahi hai kya
dhaDkanon ka mizaj barham hai
aarzu phir machal rahi hai kya
'nur' ehsas ke talatum mein
koi hasrat nikal rahi hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.