zindagi hath se sipar rakh de
zindagī haath se sipar rakh de
ruuh meñ merī ik sharar rakh de
shab kī tanhā.ī mujh se kahtī hai
mere shānoñ pe apnā sar rakh de
raushnī qarz māñgtā hai kyoñ
uTh añdhere nichoḌ kar rakh de
aa rahī hai phir intizār kī raat
phir diyā ek taaq par rakh de
vo jo pardes jā rahā hai 'nasīm'
us kī āñkhoñ meñ apnā ghar rakh de
zindagi hath se sipar rakh de
ruh mein meri ek sharar rakh de
shab ki tanhai mujh se kahti hai
mere shanon pe apna sar rakh de
raushni qarz mangta hai kyon
uTh andhere nichoD kar rakh de
aa rahi hai phir intizar ki raat
phir diya ek taq par rakh de
wo jo pardes ja raha hai 'nasim'
us ki aankhon mein apna ghar rakh de
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.