zindagi hai jeb-o-daman par garan apni jagah
zindagī hai jeb-o-dāman par garāñ apnī jagah
ḳhvāhisheñ letī haiñ dil meñ chuTkiyāñ apnī jagah
vaqt ke tūfāñ meñ qasr-e-sañg Dah kar rah ga.e
haiñ magar maujūd shīshe ke makāñ apnī jagah
maiñ samajhtā huuñ ki donoñ hī haiñ juzv-e-kā.enāt
jañg-o-shar apnī jagah amn-o-amāñ apnī jagah
kar diye raushan junūñ vāloñ ne azmat ke charāġh
ahl-e-aql-o-hosh kī ḳhush-fahmiyāñ apnī jagah
pā-e-aqdas mohsin-e-insāniyat kā chuum kar
ho ga.ī hai rashk-e-gardūñ kahkashāñ apnī jagah
zindagi hai jeb-o-daman par garan apni jagah
KHwahishen leti hain dil mein chuTkiyan apni jagah
waqt ke tufan mein qasr-e-sang Dah kar rah gae
hain magar maujud shishe ke makan apni jagah
main samajhta hun ki donon hi hain juzw-e-kaenat
jang-o-shar apni jagah amn-o-aman apni jagah
kar diye raushan junun walon ne azmat ke charagh
ahl-e-aql-o-hosh ki KHush-fahmiyan apni jagah
pa-e-aqdas mohsin-e-insaniyat ka chum kar
ho gai hai rashk-e-gardun kahkashan apni jagah
- Book : Mauj-e-Sarab (Pg. 105)
- Author : Rehbar Jaunpuri
- Publication : Rehbar Jaunpuri (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.