zindagi hai ki koi sahra hai
zindagī hai ki koī sahrā hai
raushnī kā nagar añdherā hai
chalte rahtā huuñ jaane kis jānib
koī manzil na kuchh baserā hai
dil kī gahrā.iyoñ meñ aa jaao
zaḳhm-e-dil merā aur gahrā hai
tum jo chalte hue Thaharte ho
vaqt bhī aaj Thahrā Thahrā hai
ġham kī tahrīr tum ko kyā ma.alūm
kāġhaz-e-dil tumhārā korā hai
pyaar hai mujh ko us sitamgar se
jis kā andāz pyārā pyārā hai
merī duniyā sañvar ga.ī hai 'muīn'
un kī zulfoñ ko jo sañvārā hai
zindagi hai ki koi sahra hai
raushni ka nagar andhera hai
chalte rahta hun jaane kis jaanib
koi manzil na kuchh basera hai
dil ki gahraiyon mein aa jao
zaKHm-e-dil mera aur gahra hai
tum jo chalte hue Thaharte ho
waqt bhi aaj Thahra Thahra hai
gham ki tahrir tum ko kya malum
kaghaz-e-dil tumhaara kora hai
pyar hai mujh ko us sitamgar se
jis ka andaz pyara pyara hai
meri duniya sanwar gai hai 'muin'
un ki zulfon ko jo sanwara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.