zindagi hai to wo hangam bhi aa jaega
zindagī hai to vo hangām bhī aa jā.egā
un ke hoñToñ pe mirā naam bhī aa jā.egā
mish.al-e-rāh banegī mirī vahshat ik din
dil-e-nākām kabhī kaam bhī aa jā.egā
sarguzasht-e-ġham-e-dil kahte hue Dartā huuñ
ḳhauf ye hai ki tirā naam bhī aa jā.egā
un se iqrār-e-vafā kar ke bahut ham ḳhush the
ye na samjhe the ki ilzām bhī aa jā.egā
zauq-e-nazzāra salāmat hai to 'zamzam' ik din
jalva-e-dost lab-e-bām bhī aa jā.egā
zindagi hai to wo hangam bhi aa jaega
un ke honTon pe mera nam bhi aa jaega
mishal-e-rah banegi meri wahshat ek din
dil-e-nakaam kabhi kaam bhi aa jaega
sarguzasht-e-gham-e-dil kahte hue Darta hun
KHauf ye hai ki tera nam bhi aa jaega
un se iqrar-e-wafa kar ke bahut hum KHush the
ye na samjhe the ki ilzam bhi aa jaega
zauq-e-nazzara salamat hai to 'zamzam' ek din
jalwa-e-dost lab-e-baam bhi aa jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.