zindagi humne tere rang mein Dhaali bhi hai
zindagī ham ne tire rang meñ Dhālī bhī hai
ravish-e-zīst magar apnī nirālī bhī hai
kyā guzartī hai bhalā tā.ir-e-jāñ par ai ishq
shauq-e-parvāz bhī hai be-par-o-bālī bhī hai
ishq kā kaam to denā hai so jaañ dī ai dil
ham ne duniyā se koī chiiz bhalā lī bhī hai
ham akelā tujhe us shahr meñ chhoḌ aa.e haiñ
ham ne ik baat to ai dil tirī Taalī bhī hai
sar meñ saudā bhī nahīñ dil meñ tamannā bhī nahīñ
masnad-e-ishq magar ham ne sañbhālī bhī hai
zindagi hum ne tere rang mein Dhaali bhi hai
rawish-e-zist magar apni nirali bhi hai
kya guzarti hai bhala tair-e-jaan par ai ishq
shauq-e-parwaz bhi hai be-par-o-baali bhi hai
ishq ka kaam to dena hai so jaan di ai dil
hum ne duniya se koi chiz bhala li bhi hai
hum akela tujhe us shahr mein chhoD aae hain
hum ne ek baat to ai dil teri Tali bhi hai
sar mein sauda bhi nahin dil mein tamanna bhi nahin
masnad-e-ishq magar hum ne sanbhaali bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.