zindagi humne teri jhuTi numaish ke liye
zindagī ham ne tirī jhūTī numā.ish ke liye
kitne sangīn haqā.eq ke gale ghoñT diye
ham ne kuchh shoḳh ujāloñ kī havā meñ aakar
apnī sanjīda-nigāhī ke bujhā Daale diye
mere armānoñ kī shabnam tire ruḳhsār kī dhuup
aur kyā chāhiye shādābi-e-gulshan ke liye
kuchh hamīñ ḳhvāb ke maare the na chauñke varna
terī aamad ke saveroñ ne to paiġhām diye
vaqt-e-be-rahm kā andāz-e-karam to dekho
jin ko ā.īne diye dard ke chehre na diye
tere dāman meñ to hai sub.h-e-daraḳhshāñ kī bahār
ai shab-e-tār magar zahr tirā kaun piye
zindagī raqs par āmāda huī hai jab bhī
vaqt ne halqa-e-zanjīr ke bal toḌ diye
jaane vaale to palaT kar nahīñ aate 'nāzim'
phir bhī baiThe haiñ nigāhoñ ko sū-e-rāh kiye
zindagi hum ne teri jhuTi numaish ke liye
kitne sangin haqaeq ke gale ghonT diye
hum ne kuchh shoKH ujalon ki hawa mein aakar
apni sanjida-nigahi ke bujha Dale diye
mere armanon ki shabnam tere ruKHsar ki dhup
aur kya chahiye shadabi-e-gulshan ke liye
kuchh hamin KHwab ke mare the na chaunke warna
teri aamad ke saweron ne to paigham diye
waqt-e-be-rahm ka andaz-e-karam to dekho
jin ko aaine diye dard ke chehre na diye
tere daman mein to hai subh-e-daraKHshan ki bahaar
ai shab-e-tar magar zahr tera kaun piye
zindagi raqs par aamada hui hai jab bhi
waqt ne halqa-e-zanjir ke bal toD diye
jaane wale to palaT kar nahin aate 'nazim'
phir bhi baiThe hain nigahon ko su-e-rah kiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.