zindagi hi zindagi chaaron taraf hai
zindagī hī zindagī chāroñ taraf hai
aañkh ho to raushnī chāroñ taraf hai
kyā zamīñ kyā āsmāñ kyā dasht-o-dariyā
aadmī kī bartarī chāroñ taraf hai
ek markaz par Thahartā hī nahīñ hai
zehn kī āvārgī chāroñ taraf hai
dekhiye to hai ujālā hī ujālā
sochiye to tīrgī chāroñ taraf hai
aañkh se ojhal tirā chehra hai lekin
ik alāmat sī tirī chāroñ taraf hai
kuchh na kuchh hai āj-kal meñ hone vaalā
ik mukammal ḳhāmushī chāroñ taraf hai
chhoḌ kar jaate ho ghar 'ma.asūm' sāhab
soch lo duniyā yahī chāroñ taraf hai
zindagi hi zindagi chaaron taraf hai
aankh ho to raushni chaaron taraf hai
kya zamin kya aasman kya dasht-o-dariya
aadmi ki bartari chaaron taraf hai
ek markaz par Thaharta hi nahin hai
zehn ki aawargi chaaron taraf hai
dekhiye to hai ujala hi ujala
sochiye to tirgi chaaron taraf hai
aankh se ojhal tera chehra hai lekin
ek alamat si teri chaaron taraf hai
kuchh na kuchh hai aaj-kal mein hone wala
ek mukammal KHamushi chaaron taraf hai
chhoD kar jate ho ghar 'masum' sahab
soch lo duniya yahi chaaron taraf hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.