zindagi ho meri nazar mein ho
zindagī ho mirī nazar meñ ho
ho davāoñ meñ chashm-e-tar meñ ho
jab bhī likkhā hai tum ko likkhā hai
tum hī lafzoñ meñ ho satar meñ ho
tum hī mehvar ho har taḳhayyul kā
mīr-o-ġhālib meñ ho zafar meñ ho
tum fazāoñ meñ raqs kartī ho
kū-ba-kū phailtī ḳhabar meñ ho
ab zamāne se kyā chhupā.ūñ maiñ
tum to mahtāb ho nazar meñ ho
merī qismat bane bhī rishte qamar
koī tum sā jo mere ghar meñ ho
kuchh laboñ par hameñ bhī hai 'aslam'
jī ke utre hue bhañvar meñ ho
zindagi ho meri nazar mein ho
ho dawaon mein chashm-e-tar mein ho
jab bhi likkha hai tum ko likkha hai
tum hi lafzon mein ho satar mein ho
tum hi mehwar ho har taKHayyul ka
mir-o-ghaalib mein ho zafar mein ho
tum fazaon mein raqs karti ho
ku-ba-ku phailti KHabar mein ho
ab zamane se kya chhupaun main
tum to mahtab ho nazar mein ho
meri qismat bane bhi rishte qamar
koi tum sa jo mere ghar mein ho
kuchh labon par hamein bhi hai 'aslam'
ji ke utre hue bhanwar mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.