zindagi hone ka dukh sahne mein hai
zindagī hone kā dukh sahne meñ hai
zor dariyā kā faqat bahne meñ hai
ruk ga.e to dekhne ā.eñge log
āfiyat ab ghūmte rahne meñ hai
kah rahe haiñ log us se baat kar
jaise vo zālim mire kahne meñ hai
chhū liyā thā dard kī zanjīr ko
vo bhī ab shāmil mire kahne meñ hai
'arsh' vo apnī ḳhudā.ī meñ kahāñ
baat jo us ko ḳhudā kahne meñ hai
zindagi hone ka dukh sahne mein hai
zor dariya ka faqat bahne mein hai
ruk gae to dekhne aaenge log
aafiyat ab ghumte rahne mein hai
kah rahe hain log us se baat kar
jaise wo zalim mere kahne mein hai
chhu liya tha dard ki zanjir ko
wo bhi ab shamil mere kahne mein hai
'arsh' wo apni KHudai mein kahan
baat jo us ko KHuda kahne mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.