zindagi hosh ki duniya se juda lagti hai
zindagī hosh kī duniyā se judā lagtī hai
jab kisī dāman-e-gul-rū kī havā lagtī hai
shukriya terī navāzish kā magar kyā kahiye
ye navāzish bhī to ik tarz-e-jafā lagtī hai
is chaman-zār-e-mohabbbat meñ hameñ ai hamdam
apnī hastī bhī kisī gul kī duā lagtī hai
ham ko be-raunaqī-e-shām-e-tamannā taslīm
aap kī sub.h bhī māñge kā diyā lagtī hai
kyā qayāmat hai ki be-rāh-ravī bhī ham ko
vaj.h-e-shā.istagī-e-fikr-o-navā lagtī hai
mujh se miltī hai to katrā ke nikal jaatī hai
har ḳhushī chashm-e-taġhāful kī adā lagtī hai
ho jo mānūs tabassum kī kiran se 'nāzim'
dil kī har fikr ujāloñ kī navā lagtī hai
zindagi hosh ki duniya se juda lagti hai
jab kisi daman-e-gul-ru ki hawa lagti hai
shukriya teri nawazish ka magar kya kahiye
ye nawazish bhi to ek tarz-e-jafa lagti hai
is chaman-zar-e-mohabbbat mein hamein ai hamdam
apni hasti bhi kisi gul ki dua lagti hai
hum ko be-raunaqi-e-sham-e-tamanna taslim
aap ki subh bhi mange ka diya lagti hai
kya qayamat hai ki be-rah-rawi bhi hum ko
wajh-e-shaistagi-e-fikr-o-nawa lagti hai
mujh se milti hai to katra ke nikal jati hai
har KHushi chashm-e-taghaful ki ada lagti hai
ho jo manus tabassum ki kiran se 'nazim'
dil ki har fikr ujalon ki nawa lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.