zindagi ek film hai milna bichhaDna scene hain
zindagī ik film hai milnā bichhaḌnā scene haiñ
aañkh ke aañsū tire kirdār kī tauhīn haiñ
ek hī mausam vahī manzar khaTakne lagtā hai
sach ye hai ham ādatan badlāo ke shauqīn haiñ
niiñd meñ palkoñ se merī rang chhalke raat bhar
aañkh meñ haiñ titliyāñ to ḳhvāb bhī rangīn haiñ
raah taktī raat kā ye rang hai tere binā
chāñd bhī māyūs hai taare bhī sab ġhamgīn hai
uñgliyoñ pe gin mirī tanhā.iyoñ ke ham-safar
ik udāsī jaam duujā yaad terī tiin haiñ
qā.ede se kab jiyā hai zindagī maiñ ne tujhe
maiñ tirā mujrim huuñ mere jurm to sangīn haiñ
ḳhushnumā māhaul thā kal tak thirakte the sabhī
aaj āḳhir kyā huā hai log kyoñ ġhamgīn haiñ
zindagi ek film hai milna bichhaDna scene hain
aankh ke aansu tere kirdar ki tauhin hain
ek hi mausam wahi manzar khaTakne lagta hai
sach ye hai hum aadatan badlao ke shauqin hain
nind mein palkon se meri rang chhalke raat bhar
aankh mein hain titliyan to KHwab bhi rangin hain
rah takti raat ka ye rang hai tere bina
chand bhi mayus hai tare bhi sab ghamgin hai
ungliyon pe gin meri tanhaiyon ke ham-safar
ek udasi jam duja yaad teri tin hain
qaede se kab jiya hai zindagi main ne tujhe
main tera mujrim hun mere jurm to sangin hain
KHushnuma mahaul tha kal tak thirakte the sabhi
aaj aaKHir kya hua hai log kyon ghamgin hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.