zindagi ek habab hai jaise
zindagī ik habāb hai jaise
ik suhānā sā ḳhvāb hai jaise
us ke va.ade kā e.atibār abas
vo sarāsar sarāb hai jaise
husn kī ye shaguftagī vallāh
ek taaza gulāb hai jaise
dil-e-āshiq meñ jhāñk kar dekho
koī ḳhāna-ḳharāb hai jaise
piiTh pīchhe kisī kī bad-goī
aaj kār-e-savāb hai jaise
muskurānā vo zer-e-lab un kā
merā yaum-e-hisāb hai jaise
apnā maazī vo bhuul baiThā hai
ḳhāndānī navāb hai jaise
sinf-e-nāzuk kī uf ye uryānī
zehn-o-dil kā azaab hai jaise
baab is ke haiñ muḳhtalif ai 'shāz'
ziist merī kitāb hai jaise
zindagi ek habab hai jaise
ek suhana sa KHwab hai jaise
us ke wade ka eatibar abas
wo sarasar sarab hai jaise
husn ki ye shaguftagi wallah
ek taza gulab hai jaise
dil-e-ashiq mein jhank kar dekho
koi KHana-KHarab hai jaise
piTh pichhe kisi ki bad-goi
aaj kar-e-sawab hai jaise
muskurana wo zer-e-lab un ka
mera yaum-e-hisab hai jaise
apna mazi wo bhul baiTha hai
KHandani nawab hai jaise
sinf-e-nazuk ki uf ye uryani
zehn-o-dil ka azab hai jaise
bab is ke hain muKHtalif ai 'shaz'
zist meri kitab hai jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.