zindagi ek hasin KHwab bhi hai
zindagī ik hasīn ḳhvāb bhī hai
ye masarrat bhī hai azaab bhī hai
donoñ pahlū haiñ is meñ poshīda
ye haqīqat bhī hai sarāb bhī hai
zindagī rab kī ik amānat hai
sarf karne kā kuchh hisāb bhī hai
ilm ik raushnī hai rasta hai
ilm sab se baḌā hijāb bhī hai
umr kitnī tavīl ho lekin
misl ik nā-tavāñ habāb bhī hai
sharm āñkhoñ meñ bhī zarūrī hai
garche ruḳh pe paḌā naqāb bhī hai
zindagi ek hasin KHwab bhi hai
ye masarrat bhi hai azab bhi hai
donon pahlu hain is mein poshida
ye haqiqat bhi hai sarab bhi hai
zindagi rab ki ek amanat hai
sarf karne ka kuchh hisab bhi hai
ilm ek raushni hai rasta hai
ilm sab se baDa hijab bhi hai
umr kitni tawil ho lekin
misl ek na-tawan habab bhi hai
sharm aankhon mein bhi zaruri hai
garche ruKH pe paDa naqab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.