zindagi ek kitab hai baba
zindagī ik kitāb hai baabā
jis meñ sab kā hisāb hai baabā
hoñT yāqūt jaise haiñ us ke
aañkh jām-e-sharāb hai baabā
ek ḳhāna-ḳharāb hai pūchho
kaun kitnā ḳharāb hai baabā
hañste chehroñ pe dhyān mat denā
ye to jhūTā naqāb hai baabā
jis kā tahzīb se nahīñ rishta
aaj vo bhī janāb hai baabā
ye sunāmī ye zalzale 'jauhar'
sab ḳhudā kā azaab hai baabā
zindagi ek kitab hai baba
jis mein sab ka hisab hai baba
honT yaqut jaise hain us ke
aankh jam-e-sharab hai baba
ek KHana-KHarab hai puchho
kaun kitna KHarab hai baba
hanste chehron pe dhyan mat dena
ye to jhuTa naqab hai baba
jis ka tahzib se nahin rishta
aaj wo bhi janab hai baba
ye sunami ye zalzale 'jauhar'
sab KHuda ka azab hai baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.