zindagi ek wabaal hai sahab
zindagī ik vabāl hai sāhab
ab to jiinā muhāl hai sāhab
aap jo kuchh kaheñ vahī sach hai
be-sabab qīl-o-qāl hai sāhab
aap kī be-ruḳhī hamāre liye
zindagī kā savāl hai sāhab
ġham-e-duniyā ho yā ġham-e-uqbā
ne.amat-e-lā-zavāl hai sāhab
us ne pūchhā hai aaj merā mizāj
ab tabī.at bahāl hai sāhab
ham mohabbat kī baat karte haiñ
aap kā kyā ḳhayāl hai sāhab
zaḳhm ab kaise ham dikhā.eñ 'habāb'
ek TeḌhā savāl hai sāhab
zindagi ek wabaal hai sahab
ab to jina muhaal hai sahab
aap jo kuchh kahen wahi sach hai
be-sabab qil-o-qal hai sahab
aap ki be-ruKHi hamare liye
zindagi ka sawal hai sahab
gham-e-duniya ho ya gham-e-uqba
neamat-e-la-zawal hai sahab
us ne puchha hai aaj mera mizaj
ab tabiat bahaal hai sahab
hum mohabbat ki baat karte hain
aap ka kya KHayal hai sahab
zaKHm ab kaise hum dikhaen 'habab'
ek TeDha sawal hai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.