zindagi ek zahr thi is zahr ko pina paDa
zindagī ik zahr thī is zahr ko piinā paḌā
muskurā kar dostoñ ke darmiyāñ jiinā paḌā
us ko bhī mujh se shikāyat thī na thā mujh ko gila
jaane kaise do diloñ ke darmiyāñ kiina paḌā
thī 'adālat meñ gavāhī haath the qur.ān par
jhuuT ke kāñToñ se lekin sach kā muñh siinā paḌā
farsh par maiñ 'arsh par vo kaise us se jā milūñ
raah meñ hai tuur se bhī ūñchā ik ziina paḌā
zindagi ek zahr thi is zahr ko pina paDa
muskura kar doston ke darmiyan jina paDa
us ko bhi mujh se shikayat thi na tha mujh ko gila
jaane kaise do dilon ke darmiyan kina paDa
thi 'adalat mein gawahi hath the quran par
jhuT ke kanTon se lekin sach ka munh sina paDa
farsh par main 'arsh par wo kaise us se ja milun
rah mein hai tur se bhi uncha ek zina paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.