zindagi is liye shayad hai pasheman ai hosh
zindagī is liye shāyad hai pashemāñ ai 'hosh'
ki faqat maut hai sarmāya-e-insāñ ai 'hosh'
ḳhushk hoñToñ pe bhī rakhte haiñ tabassum kī chamak
kaun kahtā hai hameñ be-sar-o-sāmāñ ai 'hosh'
vaqt kī aañch sikhā detī hai jismoñ kā lahū
dil meñ rahte haiñ magar ḳhuun ke tūfāñ ai 'hosh'
un ke sīnoñ meñ dahakte hue añgāre haiñ
tum ne dekhe haiñ jo hañste hue insāñ ai 'hosh'
zindagi is liye shayad hai pasheman ai 'hosh'
ki faqat maut hai sarmaya-e-insan ai 'hosh'
KHushk honTon pe bhi rakhte hain tabassum ki chamak
kaun kahta hai hamein be-sar-o-saman ai 'hosh'
waqt ki aanch sikha deti hai jismon ka lahu
dil mein rahte hain magar KHun ke tufan ai 'hosh'
un ke sinon mein dahakte hue angare hain
tum ne dekhe hain jo hanste hue insan ai 'hosh'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.