zindagi jate jate ye kya kah gai
zindagī jaate jaate ye kyā kah ga.ī
maut kuchh fāsle par khaḌī rah ga.ī
koī bhī saḳht-jāñ tujh sā dekhā nahīñ
jaate jaate mujhe har balā kah ga.ī
jo zabāñ ne kahī vo adhūrī rahī
baat puurī mirī ḳhāmushī kah ga.ī
muskurā.e idhar vo mire haal par
ashk ban kar udhar aarzū bah ga.ī
kuuch sū-e-adam har makīñ kar gayā
aur havelī khaḌī kī khaḌī rah ga.ī
jo bhī ḳhūbī thī 'lāġhar' tirī zaat meñ
tang-dastī ke sailāb meñ bah ga.ī
zindagi jate jate ye kya kah gai
maut kuchh fasle par khaDi rah gai
koi bhi saKHt-jaan tujh sa dekha nahin
jate jate mujhe har bala kah gai
jo zaban ne kahi wo adhuri rahi
baat puri meri KHamushi kah gai
muskurae idhar wo mere haal par
ashk ban kar udhar aarzu bah gai
kuch su-e-adam har makin kar gaya
aur haweli khaDi ki khaDi rah gai
jo bhi KHubi thi 'laghar' teri zat mein
tang-dasti ke sailab mein bah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.