zindagi jab sukun khoegi
zindagī jab sukūn kho.egī
be-dilī dekh kar ke ro.egī
niiñd āñkhoñ se dar-ba-dar ho kar
kis ke zaanū pe jā ke so.egī
dil ke apne alag masā.il haiñ
aañkh kyoñ bevafā ko ro.egī
jis javānī pe naaz hai tujh ko
āḳhirash ḳhaak meñ samo.egī
tū rachā kar hatheliyāñ apnī
ḳhūn-e-nāhaq se haath dho.egī
yaad ā.eñge vasl ke manzar
phuul dhāge meñ juuñ piro.egī
tiir paivast hai mohabbat kā
dil meñ ab kaun shai samo.egī
aur kyā hogā hijr se 'mehvar'
chand din aabrū hī kho.egī
zindagi jab sukun khoegi
be-dili dekh kar ke roegi
nind aankhon se dar-ba-dar ho kar
kis ke zanu pe ja ke soegi
dil ke apne alag masail hain
aankh kyon bewafa ko roegi
jis jawani pe naz hai tujh ko
aaKHirash KHak mein samoegi
tu racha kar hatheliyan apni
KHun-e-nahaq se hath dhoegi
yaad aaenge wasl ke manzar
phul dhage mein jun piroegi
tir paiwast hai mohabbat ka
dil mein ab kaun shai samoegi
aur kya hoga hijr se 'mehwar'
chand din aabru hi khoegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.