zindagi jab tere aasar nazar aaenge
zindagī jab tire āsār nazar ā.eñge
ham tire shahr ke us paar nazar ā.eñge
merī āñkhoñ kā kināra jo tumheñ kaafī ho
mere baazū tumheñ patvār nazar ā.eñge
kahīñ ḳhud ko nazar aa.e bhī tire ba.ad to ham
saañs lete hue be-kār nazar ā.eñge
log DhūñDeñge hameñ DhūñDne vāloñ kī tarah
ham pas-e-chashm-e-nam-e-yār nazar ā.eñge
āshiqī aise qabīle meñ ri.āyat kaisī
paanī bharte hue sardār nazar ā.eñge
koī malhār na sūjhegā tire ba.ad hameñ
bāñjh dhartī ke zamīñ-dār nazar ā.eñge
dil ke parde pe agar ek nazar Dāleñ to
kuchh pareshān se kirdār nazar ā.eñge
zindagi jab tere aasar nazar aaenge
hum tere shahr ke us par nazar aaenge
meri aankhon ka kinara jo tumhein kafi ho
mere bazu tumhein patwar nazar aaenge
kahin KHud ko nazar aae bhi tere baad to hum
sans lete hue be-kar nazar aaenge
log DhunDenge hamein DhunDne walon ki tarah
hum pas-e-chashm-e-nam-e-yar nazar aaenge
aashiqi aise qabile mein riayat kaisi
pani bharte hue sardar nazar aaenge
koi malhaar na sujhega tere baad hamein
banjh dharti ke zamin-dar nazar aaenge
dil ke parde pe agar ek nazar Dalen to
kuchh pareshan se kirdar nazar aaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.