Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi jabr-e-musalsal hai magar jari hai

Jaani Lakhnavi

zindagi jabr-e-musalsal hai magar jari hai

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    zindagī jabr-e-musalsal hai magar jaarī hai

    yuuñ samajhiye ke azal se mirī tayyārī hai

    vahī dīvār jahāñ dar ki thī ḳhvāhish mujh ko

    maiñ ne duniyā usī dīvār pe de maarī hai

    ye bhī taqdīr ehsān ke ham jaise log

    saañs bhī khīñcheñ to lagtā hai adā-kārī hai

    phir vahī husn ne parde ko kiyā hai rusvā

    phir vahī turfa tamāsha vahī 'ayyārī hai

    tab bhī zālim ki himāyat meñ nahīñ thā 'jānī'

    ab bhī darbār meñ lahja mirā inkārī hai

    zindagi jabr-e-musalsal hai magar jari hai

    yun samajhiye ke azal se meri tayyari hai

    wahi diwar jahan dar ki thi KHwahish mujh ko

    main ne duniya usi diwar pe de mari hai

    ye bhi taqdir ka ehsan ke hum jaise log

    sans bhi khinchen to lagta hai ada-kari hai

    phir wahi husn ne parde ko kiya hai ruswa

    phir wahi turfa tamasha wahi 'ayyari hai

    tab bhi zalim ki himayat mein nahin tha 'jaani'

    ab bhi darbar mein lahja mera inkari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now