zindagi jaisa lubhaungi chali jaungi
zindagī jaisā lubhā.ūñgī chalī jā.ūñgī
maiñ tire ḳhvāb meñ ā.ūñgī chalī jā.ūñgī
us ne dekhā hī nahīñ azm-e-musammam merā
hijr oḌhūñgī bichhā.ūñgī chalī jā.ūñgī
ye kahānī to musannif kī chalegī barsoñ
maiñ to kirdār nibhā.uñgī chalī jā.ūñgī
maiñ vo jugnū huuñ jo tāroñ ke sahāre ke baġhair
bahr-e-zulmāt miTā.ūñgī chalī jā.ūñgī
zindagī mujh ko zarā itnī to mohlat denā
sham-e-ummīd jalā.ūñgī chalī jā.ūñgī
jaañ luTānī bhī paḌī mujh ko vatan par jo kabhī
ḳhaak māthe pe lagā.uñgī chalī jā.ūñgī
ik nazar dekh leñ bas ye mirī āñkheñ tujh ko
ahd phir apnā nibhā.uñgī chalī jā.ūñgī
dil mirā ho gayā jazbāt se aarī 'mīnā'
ashk bhī ab na bahā.ūñgī chalī jā.ūñgī
zindagi jaisa lubhaungi chali jaungi
main tere KHwab mein aaungi chali jaungi
us ne dekha hi nahin azm-e-musammam mera
hijr oDhungi bichhaungi chali jaungi
ye kahani to musannif ki chalegi barson
main to kirdar nibhaungi chali jaungi
main wo jugnu hun jo taron ke sahaare ke baghair
bahr-e-zulmat miTaungi chali jaungi
zindagi mujh ko zara itni to mohlat dena
sham-e-ummid jalaungi chali jaungi
jaan luTani bhi paDi mujh ko watan par jo kabhi
KHak mathe pe lagaungi chali jaungi
ek nazar dekh len bas ye meri aankhen tujh ko
ahd phir apna nibhaungi chali jaungi
dil mera ho gaya jazbaat se aari 'mina'
ashk bhi ab na bahaungi chali jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.