zindagi jaise baddua sain
zindagī jaise badduā sā.īñ
koī e.ajāz kar dikhā sā.īñ
ġham kī chādar lapeT kar dekhā
saarī duniyā hai bevafā sā.īñ
gūñge bahroñ ke shahr meñ āḳhir
kaun suntā tirī sadā sā.īñ
paas paisa to saarī duniyā dost
varna koī nahīñ sagā sā.īñ
jis kī fitrat meñ rahzanī thī faqat
vo banā sab kā rahnumā sā.īñ
chal paḌe jis taraf ko jī chāhā
apnī manzil na rāsta sā.īñ
phir piyegī zamīñ lahū 'shahzar'
shahr maidān-e-karbalā sā.īñ
zindagi jaise baddua sain
koi eajaz kar dikha sain
gham ki chadar lapeT kar dekha
sari duniya hai bewafa sain
gunge bahron ke shahr mein aaKHir
kaun sunta teri sada sain
pas paisa to sari duniya dost
warna koi nahin saga sain
jis ki fitrat mein rahzani thi faqat
wo bana sab ka rahnuma sain
chal paDe jis taraf ko ji chaha
apni manzil na rasta sain
phir piyegi zamin lahu 'shahzar'
shahr maidan-e-karbala sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.