zindagi jhul rahi hai ba-salib-e-dauran
zindagī jhuul rahī hai ba-salīb-e-daurāñ
kyoñ na angusht-ba-dandāñ ho tabīb-e-daurāñ
jauhar-e-sabr ne dekhā ba-nigāh-e-tahsīñ
manzar-e-ām pe aayā jo ġharīb-e-daurāñ
be-adab lagtā hai duniyā-e-adab kā māhaul
shā.ir-e-asr se uljhā hai adīb-e-daurāñ
chehra-e-vaqt tirī parda-kushā.ī kar ke
ham ne har daur meñ palTā hai nasīb-e-daurāñ
tarjumān-e-ġham-e-hastī hai 'sabā' jis kā dimāġh
chashm-e-bīnā meñ vo shā.ir hai naqīb-e-daurāñ
zindagi jhul rahi hai ba-salib-e-dauran
kyon na angusht-ba-dandan ho tabib-e-dauran
jauhar-e-sabr ne dekha ba-nigah-e-tahsin
manzar-e-am pe aaya jo gharib-e-dauran
be-adab lagta hai duniya-e-adab ka mahaul
shair-e-asr se uljha hai adib-e-dauran
chehra-e-waqt teri parda-kushai kar ke
hum ne har daur mein palTa hai nasib-e-dauran
tarjuman-e-gham-e-hasti hai 'saba' jis ka dimagh
chashm-e-bina mein wo shair hai naqib-e-dauran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.