zindagi jitne tere chahne wale honge
zindagī jitne tire chāhne vaale hoñge
ik na ik din vo kisī ġham ke havāle hoñge
shart ye hai ki koī sham’-e-tamannā na jale
rāh-e-mastī meñ har ik samt ujāle hoñge
jis par ai dost tirī chashm-e-'ināyat hogī
us ke andāz hī duniyā se nirāle hoñge
ham ne sochā bhī nahīñ thā ki bichhaḌ kar un se
rāhat-e-jāñ to alag jaan ke laale hoñge
us kī nazreñ hī batā saktī haiñ sachchī qīmat
jis ne motī tah-e-dariyā se nikāle hoñge
ham ko mā'lūm na thī rasm-e-mohabbat ai dost
joḌne vaale hī dil toḌne vaale hoñge
jin maqāmāt pe ham un se mile the 'gulshan'
ik na ik din vahāñ tā'mīr shivāle hoñge
zindagi jitne tere chahne wale honge
ek na ek din wo kisi gham ke hawale honge
shart ye hai ki koi sham’-e-tamanna na jale
rah-e-masti mein har ek samt ujale honge
jis par ai dost teri chashm-e-'inayat hogi
us ke andaz hi duniya se nirale honge
hum ne socha bhi nahin tha ki bichhaD kar un se
rahat-e-jaan to alag jaan ke lale honge
us ki nazren hi bata sakti hain sachchi qimat
jis ne moti tah-e-dariya se nikale honge
hum ko ma'lum na thi rasm-e-mohabbat ai dost
joDne wale hi dil toDne wale honge
jin maqamat pe hum un se mile the 'gulshan'
ek na ek din wahan ta'mir shiwale honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.