zindagi ka charagh jalta hai
zindagi ka charagh jalta hai
Sultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
MORE BYSultanul Haq Shaheedii Kaashmiri
zindagī kā charāġh jaltā hai
yā mire dil kā daaġh jaltā hai
dasht-o-dar kī to baat hī kyā dost
aaj har ek baaġh jaltā hai
haa.e dil kī udaas rātoñ meñ
anjuman kā farāġh jaltā hai
apnī ḳhud.dār vaz.a ke sadqe
ek aa.alī dimāġh jaltā hai
lāla-sūrat na ho 'shahīdī' hī
bazm-e-gul meñ charāġh jaltā hai
zindagi ka charagh jalta hai
ya mere dil ka dagh jalta hai
dasht-o-dar ki to baat hi kya dost
aaj har ek bagh jalta hai
hae dil ki udas raaton mein
anjuman ka faragh jalta hai
apni KHuddar waza ke sadqe
ek aaali dimagh jalta hai
lala-surat na ho 'shahidi' hi
bazm-e-gul mein charagh jalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.