zindagi ka jamal dekha bhi
zindagī kā jamāl dekhā bhī
maut kā marm ḳhuub samjhā bhī
bachpanā to abhī gayā bhī na thā
jaane kab aa gayā buḌhāpā bhī
jab talak zindagī samajhte ham
maut kā aa gayā bulāvā bhī
shabd kuchh rah ga.e haiñ man meñ hī
kuchh ko aurāq par utārā bhī
umr saste meñ ḳharch kar Daalī
haath aayā nahīñ ḳhasāra bhī
zindagi ka jamal dekha bhi
maut ka marm KHub samjha bhi
bachpana to abhi gaya bhi na tha
jaane kab aa gaya buDhapa bhi
jab talak zindagi samajhte hum
maut ka aa gaya bulawa bhi
shabd kuchh rah gae hain man mein hi
kuchh ko auraq par utara bhi
umr saste mein KHarch kar Dali
hath aaya nahin KHasara bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.