zindagi ka jawaz shaKHon par
zindagī kā javāz shāḳhoñ par
panchhiyoñ kī namāz shāḳhoñ par
yaar ham-umr ḳhizr ke hoñ daraḳht
aa.e umr-e-darāz shāḳhoñ par
phal gire haiñ to āshkār hue
maiñ ne likkhe the raaz shāḳhoñ par
kis ne aarā chalāyā furqat kā
zindagī kī gudāz shāḳhoñ par
shab ke Dhalne pe roz suntā huuñ
maiñ tahajjud kā saaz shāḳhoñ par
haiñ tire naam ke hasīñ panchhī
merī palkoñ kī ba.az shāḳhoñ par
haiñ mohabbat ke phal lage saare
ma.arifat kī darāz shāḳhoñ par
zindagi ka jawaz shaKHon par
panchhiyon ki namaz shaKHon par
yar ham-umr KHizr ke hon daraKHt
aae umr-e-daraaz shaKHon par
phal gire hain to aashkar hue
main ne likkhe the raaz shaKHon par
kis ne aara chalaya furqat ka
zindagi ki gudaz shaKHon par
shab ke Dhalne pe roz sunta hun
main tahajjud ka saz shaKHon par
hain tere nam ke hasin panchhi
meri palkon ki baz shaKHon par
hain mohabbat ke phal lage sare
marifat ki daraaz shaKHon par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.