zindagi ka koi bhi ishaara nahin
zindagī kā koī bhī ishāra nahīñ
koī jugnū nahīñ koī taarā nahīñ
mehrbāñ jaane kab kis pe ho jaa.e ye
zindagī par kisī kā ijāra nahīñ
jiit kī dhun mujhe kis taraf le ga.ī
hārne ke sivā koī chāra nahīñ
pahle jis ke liye dil dhaḌaktā rahā
vo kabhī thā magar ab hamārā nahīñ
mere chāroñ taraf log hī log haiñ
koī apnā nahīñ koī pyārā nahīñ
zindagi ka koi bhi ishaara nahin
koi jugnu nahin koi tara nahin
mehrban jaane kab kis pe ho jae ye
zindagi par kisi ka ijara nahin
jit ki dhun mujhe kis taraf le gai
haarne ke siwa koi chaara nahin
pahle jis ke liye dil dhaDakta raha
wo kabhi tha magar ab hamara nahin
mere chaaron taraf log hi log hain
koi apna nahin koi pyara nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.