zindagi ka koi hasil hi nahin
zindagī kā koī hāsil hī nahīñ
ye vo jaada hai ki manzil hī nahīñ
har taraf chhā.ī huī afsurdagī
mahfiloñ meñ rang mahfil meñ nahīñ
chaltī to hai kashtī-e-umr-e-ravāñ
bahr-e-nākāmī kā sāhil hī nahīñ
tark to kar duuñ maiñ ranj-e-āshiqī
kyā karūñ qaabū meñ jab dil hī nahīñ
najd kī rāhoñ meñ ab majnūñ kahāñ
jabki lailā aur mahmil hī nahīñ
ġham hī ham-āhang-e-fitrat ho to ho
ai ḳhushī maiñ tere qābil hī nahīñ
soz-e-parvāna to hai apnī jagah
jalva-ārā sham-e-mahfil hī nahīñ
jalva-e-sad-rang aa.e kyā nazar
aa.ina koī muqābil hī nahīñ
lā-makāñ meñ ho to shāyad ho maqām
donoñ aalam merī manzil hī nahīñ
luT na jaa.e kārvān-e-zindagī
paas mere jab mirā dil hī nahīñ
ḳhizr-e-rah kī kyoñ mujhe hai justujū
rāhbar jab jazb-e-kāmil hī nahīñ
kis liye 'mehdī' lagī mere gale
zindagī maiñ jis ke qābil hī nahīñ
zindagi ka koi hasil hi nahin
ye wo jada hai ki manzil hi nahin
har taraf chhai hui afsurdagi
mahfilon mein rang mahfil mein nahin
chalti to hai kashti-e-umr-e-rawan
bahr-e-nakaami ka sahil hi nahin
tark to kar dun main ranj-e-ashiqi
kya karun qabu mein jab dil hi nahin
najd ki rahon mein ab majnun kahan
jabki laila aur mahmil hi nahin
gham hi ham-ahang-e-fitrat ho to ho
ai KHushi main tere qabil hi nahin
soz-e-parwana to hai apni jagah
jalwa-ara sham-e-mahfil hi nahin
jalwa-e-sad-rang aae kya nazar
aaina koi muqabil hi nahin
la-makan mein ho to shayad ho maqam
donon aalam meri manzil hi nahin
luT na jae karwan-e-zindagi
pas mere jab mera dil hi nahin
KHizr-e-rah ki kyon mujhe hai justuju
rahbar jab jazb-e-kaamil hi nahin
kis liye 'mehdi' lagi mere gale
zindagi main jis ke qabil hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.