zindagi ka koi his kaise ada karte hain
zindagī kā koī his kaise adā karte haiñ
jo mohabbat nahīñ karte haiñ vo kyā karte haiñ
dars-e-ibrat hai dam-e-sub.h nuzūl-e-shabnam
gulsitāñ rotā hai aur phuul hañsā karte haiñ
tālibān-e-karam-e-yār talab se pahle
apne dāman kī taraf dekh liyā karte haiñ
un kī marzī hai hameñ yaad kareñ yā na kareñ
ham ba-har-hāl unheñ yaad kiyā karte haiñ
zinda dargor huuñ maiñ kasrat-e-ālām se 'kaif'
log phir bhī mire jiine kī du'ā karte haiñ
zindagi ka koi his kaise ada karte hain
jo mohabbat nahin karte hain wo kya karte hain
dars-e-ibrat hai dam-e-subh nuzul-e-shabnam
gulsitan rota hai aur phul hansa karte hain
taliban-e-karam-e-yar talab se pahle
apne daman ki taraf dekh liya karte hain
un ki marzi hai hamein yaad karen ya na karen
hum ba-har-haal unhen yaad kiya karte hain
zinda dargor hun main kasrat-e-alam se 'kaif'
log phir bhi mere jine ki du'a karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.