zindagi ka lutf ab hasil nahin
zindagi ka lutf ab hasil nahin
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
zindagī kā lutf ab hāsil nahīñ
haa.e vo saaqī nahīñ mahfil nahīñ
ab vo lutf-o-sarḳhushī hāsil nahīñ
kyā karūñ majbūr huuñ vo dil nahīñ
koī pahlū bhī qarār-e-dil nahīñ
zindagī ko kuchh sukūñ hāsil nahīñ
zindagī vo zindagī kis kaam kī
jab razā-e-dost hī hāsil nahīñ
is chaman meñ inqalāb aaya to kyā
fasl-e-gul bhī sāzgār-e-dil nahīñ
allah allah ye hujūm-e-ārzū
ḳhāna-hā-e-dil meñ jā-e-til nahīñ
ibtidā-e-ishq kī manzil to hai
intihā-e-ishq kī manzil nahīñ
hai mire pesh-e-nazar us kā ma.aal
kārvāñ ab jānib-e-manzil nahīñ
dil vahī dil hai ki jis meñ dard ho
dard jis dil meñ nahīñ vo dil nahīñ
tū hī kyā hai mere dil se bad-gumāñ
mujh ko ḳhud bhī e'tibār-e-dil nahīñ
dāġh-e-dil se kaun ḳhālī hai yahāñ
māh-e-kāmil bhī 'zakī' kāmil nahīñ
zindagi ka lutf ab hasil nahin
hae wo saqi nahin mahfil nahin
ab wo lutf-o-sarKHushi hasil nahin
kya karun majbur hun wo dil nahin
koi pahlu bhi qarar-e-dil nahin
zindagi ko kuchh sukun hasil nahin
zindagi wo zindagi kis kaam ki
jab raza-e-dost hi hasil nahin
is chaman mein inqalab aaya to kya
fasl-e-gul bhi sazgar-e-dil nahin
allah allah ye hujum-e-arzu
KHana-ha-e-dil mein ja-e-til nahin
ibtida-e-ishq ki manzil to hai
intiha-e-ishq ki manzil nahin
hai mere pesh-e-nazar us ka maal
karwan ab jaanib-e-manzil nahin
dil wahi dil hai ki jis mein dard ho
dard jis dil mein nahin wo dil nahin
tu hi kya hai mere dil se bad-guman
mujh ko KHud bhi e'tibar-e-dil nahin
dagh-e-dil se kaun KHali hai yahan
mah-e-kaamil bhi 'zaki' kaamil nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.