zindagi ka nisab be-mani
zindagī kā nisāb be-ma.anī
us ke haq meñ kitāb be-ma.anī
hāsil-e-tajrabāt ḳhāmoshī
sab savāl-o-javāb be-ma.anī
ḳhvāb TuuTā huā sitāra-e-shab
aur tābīr-e-ḳhvāb be-ma.anī
husn ke be-shumār jalve haiñ
zahmat-e-intiḳhāb be-ma.anī
vahī bande vahī chalan un kā
na.ara-e-inqilāb be-ma.anī
ik ḳhayālī bahisht kī ḳhātir
fikr-e-roz-e-hisāb be-ma.anī
fard ke ehtisāb se pahle
qaum kā ehtisāb be-ma.anī
jis ke ruḳh par hayā kā parda ho
us ke ruḳh par naqāb be-ma.anī
mauj-dar-mauj ho to baat bhī hai
qatra qatra sharāb be-ma.anī
kuchh bhī kar le zamīñ na hogā kabhī
arsh par āftāb be-ma.anī
ḳhārzāroñ meñ ghar banā ke 'kañval'
ārzū-e-gulāb be-ma.anī
zindagi ka nisab be-mani
us ke haq mein kitab be-mani
hasil-e-tajrabaat KHamoshi
sab sawal-o-jawab be-mani
KHwab TuTa hua sitara-e-shab
aur tabir-e-KHwab be-mani
husn ke be-shumar jalwe hain
zahmat-e-intiKHab be-mani
wahi bande wahi chalan un ka
nara-e-inqilab be-mani
ek KHayali bahisht ki KHatir
fikr-e-roz-e-hisab be-mani
fard ke ehtisab se pahle
qaum ka ehtisab be-mani
jis ke ruKH par haya ka parda ho
us ke ruKH par naqab be-mani
mauj-dar-mauj ho to baat bhi hai
qatra qatra sharab be-mani
kuchh bhi kar le zamin na hoga kabhi
arsh par aaftab be-mani
KHarzaron mein ghar bana ke 'kanwal'
aarzu-e-gulab be-mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.