zindagi ka pahlu hai uski lal aankhon mein
zindagi ka pahlu hai uski lal aankhon mein
Bushra Bakhtiyar Khan
MORE BYBushra Bakhtiyar Khan
zindagī kā pahlū hai us kī laal āñkhoñ meñ
us ne dhuul khaa.ī hai jaane kitnī rāhoñ meñ
dil farebī meñ us ko ye hunar bhī aatā hai
sāñseñ rok detā hai yūñhī bātoñ bātoñ meñ
ġhaar toḌne par bhī raah khul nahīñ paatī
rāste nikalte haiñ ḳhud kabhī chaTānoñ meñ
be-gharī kā matlab to dar-ba-dar nahīñ hotā
kuchh malañg rahte haiñ dil ke āstānoñ meñ
aadmī farishtoñ ko bhī fareb detā hai
kuchh gunāh hote haiñ nekiyoñ kī bāñhoñ meñ
saaz toḌ dene se soz to nahīñ thamte
kuchh payām jaate haiñ sard sard aahoñ meñ
shahr bhar ke dīvāne us kā naam lete haiñ
us kā zikr hotā hai saarī ḳhānqāhoñ meñ
ek saath rah kar ab duur haiñ sabhī 'bushrā'
ek saath rahte the log achchhe vaqtoñ meñ
zindagi ka pahlu hai us ki lal aankhon mein
us ne dhul khai hai jaane kitni rahon mein
dil farebi mein us ko ye hunar bhi aata hai
sansen rok deta hai yunhi baaton baaton mein
ghaar toDne par bhi rah khul nahin pati
raste nikalte hain KHud kabhi chaTanon mein
be-ghari ka matlab to dar-ba-dar nahin hota
kuchh malang rahte hain dil ke aastanon mein
aadmi farishton ko bhi fareb deta hai
kuchh gunah hote hain nekiyon ki banhon mein
saz toD dene se soz to nahin thamte
kuchh payam jate hain sard sard aahon mein
shahr bhar ke diwane us ka nam lete hain
us ka zikr hota hai sari KHanqahon mein
ek sath rah kar ab dur hain sabhi 'bushra'
ek sath rahte the log achchhe waqton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.