zindagi ka safar tai to karte rahe
zindagī kā safar tai to karte rahe
raat kaTtī rahī din guzarte rahe
ik tasavvur tirā zehn meñ ham liye
shāh-rāh-e-jahāñ se guzarte rahe
apnī āvārgī kā patā hai kise
zaḳhm khāte rahe aur sañvarte rahe
shaam aa.ī nahā kar tire husn meñ
chāñd taare falak par nikharte rahe
apnā matlūb-o-maqsūd ab kuchh nahīñ
ḳhvāb bante rahe aur bikharte rahe
zindagi ka safar tai to karte rahe
raat kaTti rahi din guzarte rahe
ek tasawwur tera zehn mein hum liye
shah-rah-e-jahan se guzarte rahe
apni aawargi ka pata hai kise
zaKHm khate rahe aur sanwarte rahe
sham aai naha kar tere husn mein
chand tare falak par nikharte rahe
apna matlub-o-maqsud ab kuchh nahin
KHwab bante rahe aur bikharte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.