zindagi kaise kisi marhale par Thahri rahe
zindagī kaise kisī marhale par Thahrī rahe
ya.anī chaltī bhī rahe saañs magar Thahrī rahe
ishq kī rasm na badle kisī āshiq ke liye
rāh-rau chalte raheñ rāhguzar Thahrī rahe
vaqt ḳhud hī hameñ sikhlā.egā ādāb-e-suḳhan
lab-e-nāshād pe ḳhāmoshī agar Thahrī rahe
bāġh-e-imkāñ ke manāzir kā bulāvā hai hameñ
kab tak ulfat ke darīche pe nazar Thahrī rahe
ham ḳhushī ke liye andar bhī jagah rakhte haiñ
us kī marzī hai jidhar chāhe udhar Thahrī rahe
ye siyah-baḳht shab-e-rañj kabhī ḳhatm na ho
aur mirī aañkh meñ ummīd-e-sahar Thahrī rahe
dil ke bahlāne ko ye harf-e-tasallī kyūñkar
ab tire lauT ke aane kī ḳhabar Thahrī rahe
zindagi kaise kisi marhale par Thahri rahe
yani chalti bhi rahe sans magar Thahri rahe
ishq ki rasm na badle kisi aashiq ke liye
rah-rau chalte rahen rahguzar Thahri rahe
waqt KHud hi hamein sikhlaega aadab-e-suKHan
lab-e-nashad pe KHamoshi agar Thahri rahe
bagh-e-imkan ke manazir ka bulawa hai hamein
kab tak ulfat ke dariche pe nazar Thahri rahe
hum KHushi ke liye andar bhi jagah rakhte hain
us ki marzi hai jidhar chahe udhar Thahri rahe
ye siyah-baKHt shab-e-ranj kabhi KHatm na ho
aur meri aankh mein ummid-e-sahar Thahri rahe
dil ke bahlane ko ye harf-e-tasalli kyunkar
ab tere lauT ke aane ki KHabar Thahri rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.