zindagi karne ke hile na bahane aae
zindagī karne ke hiile na bahāne aa.e
ham to duniyā meñ faqat ḳhaak uḌāne aa.e
yād-e-māzī meñ farāmosh kiyā fardā ko
arsa-e-ishq meñ aise bhī zamāne aa.e
dil vo bastī hai ujaḌ jaa.e to bastī hī nahīñ
kitne saada haiñ use phir se basāne aa.e
mas.ala koī nahīñ aisā jo hal ho na sake
bas isī baat pe duniyā ko manāne aa.e
vo siyāsat hai ki har raushnī tārīk huī
phir bhī ham mish.al-e-jāñ apnī jalāne aa.e
jab bhī bāzār meñ ḳhuddāriyāñ nīlām huiiñ
daam un ke bhī to ham jaise baḌhāne aa.e
ab ke kyā thā ki ḳhizāñ ne bhī to murda na kiyā
mausam-e-gul se kaho ham ko rulāne aa.e
zindagi karne ke hile na bahane aae
hum to duniya mein faqat KHak uDane aae
yaad-e-mazi mein faramosh kiya farda ko
arsa-e-ishq mein aise bhi zamane aae
dil wo basti hai ujaD jae to basti hi nahin
kitne sada hain use phir se basane aae
masala koi nahin aisa jo hal ho na sake
bas isi baat pe duniya ko manane aae
wo siyasat hai ki har raushni tarik hui
phir bhi hum mishal-e-jaan apni jalane aae
jab bhi bazar mein KHuddariyan nilam huin
dam un ke bhi to hum jaise baDhane aae
ab ke kya tha ki KHizan ne bhi to murda na kiya
mausam-e-gul se kaho hum ko rulane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.