zindagi karwaTen badalti hai
zindagī karvaTeñ badaltī hai
aa bhī jaao ki raat Dhaltī hai
sub.h-e-nau kī hasīñ imārat meñ
raat kī tīrgī machaltī hai
zindagī kitne māh-o-sāl ke ba.ad
ab zarā paañv paañv chaltī hai
ham tahī-ḳhvāb haiñ to kyā dil meñ
ḳhvāb kī aarzū to paltī hai
chand lafzoñ kā zalzala hai magar
dil kī buniyād tak dahaltī hai
ham koī terī vo nazar to nahīñ
bātoñ bātoñ meñ jo badaltī hai
aao kuchh der señk leñ āñkheñ
koī duniyā-e-shauq jaltī hai
kis kī aahaT kā shor hai 'nāzim'
naġhmagī sī fazā meñ Dhaltī hai
zindagi karwaTen badalti hai
aa bhi jao ki raat Dhalti hai
subh-e-nau ki hasin imarat mein
raat ki tirgi machalti hai
zindagi kitne mah-o-sal ke baad
ab zara panw panw chalti hai
hum tahi-KHwab hain to kya dil mein
KHwab ki aarzu to palti hai
chand lafzon ka zalzala hai magar
dil ki buniyaad tak dahalti hai
hum koi teri wo nazar to nahin
baaton baaton mein jo badalti hai
aao kuchh der senk len aankhen
koi duniya-e-shauq jalti hai
kis ki aahaT ka shor hai 'nazim'
naghmagi si faza mein Dhalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.