zindagi ke bahut masail hain
zindagī ke bahut masā.il haiñ
har qadam par pahāḌ haa.il haiñ
ai dil-e-be-qarār muddat se
ham tirī vahshatoñ ke qaa.il haiñ
aise takte haiñ aap kī jānib
jaise mausam nahīñ haiñ saa.il haiñ
phuul ḳhushbū havā shajar bārish
ek terī taraf hī maa.il haiñ
fāsla to bahut hī kam hai magar
darmiyāñ meñ ka.ī masā.il haiñ
us ke chehre ke sāmne 'farhat'
rañg aur raushnī bhī zaa.il haiñ
sirf sahrāoñ hī kī baat nahīñ
bastiyoñ meñ bhī tere ghāyal haiñ
zindagi ke bahut masail hain
har qadam par pahaD hail hain
ai dil-e-be-qarar muddat se
hum teri wahshaton ke qail hain
aise takte hain aap ki jaanib
jaise mausam nahin hain sail hain
phul KHushbu hawa shajar barish
ek teri taraf hi mail hain
fasla to bahut hi kam hai magar
darmiyan mein kai masail hain
us ke chehre ke samne 'farhat'
rang aur raushni bhi zail hain
sirf sahraon hi ki baat nahin
bastiyon mein bhi tere ghayal hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.