zindagi ke gham bhulane mein lage hain
zindagī ke ġham bhulāne meñ lage haiñ
maut ko āsāñ banāne meñ lage haiñ
ḳhaar se himmat nahīñ hotī kisī kī
titliyoñ ko sab satāne meñ lage haiñ
aañkh kī bīnā.ī jaatī jā rahī hai
ham yahāñ chashme banāne meñ lage haiñ
peḌ kab tak hai nahīñ ma.alūm lekin
sab parinde ghar basāne meñ lage haiñ
gaañv meñ maañ baap būḌhe ho rahe haiñ
ham yahāñ tanḳhvāh baḌhāne meñ lage haiñ
aapsī rishte bigaḌte jā rahe haiñ
log mobile chalāne meñ lage haiñ
sab purāne peḌ kaTte jā rahe haiñ
log furniture banāne meñ lage haiñ
glacier saarā pighaltā jā rahā hai
ham magar ac chalāne meñ lage haiñ
baat to duniyā banāne kī huī thī
ham na jaane kyā banāne meñ lage haiñ
zindagi ke gham bhulane mein lage hain
maut ko aasan banane mein lage hain
KHar se himmat nahin hoti kisi ki
titliyon ko sab satane mein lage hain
aankh ki binai jati ja rahi hai
hum yahan chashme banane mein lage hain
peD kab tak hai nahin malum lekin
sab parinde ghar basane mein lage hain
ganw mein man bap buDhe ho rahe hain
hum yahan tanKHwah baDhane mein lage hain
aapsi rishte bigaDte ja rahe hain
log mobile chalane mein lage hain
sab purane peD kaTte ja rahe hain
log furniture banane mein lage hain
glacier sara pighalta ja raha hai
hum magar ac chalane mein lage hain
baat to duniya banane ki hui thi
hum na jaane kya banane mein lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.